You are currently viewing 8. Khwaab

8. Khwaab

Track : Khwaab
Album : Aetizaaz
Music/Composition : Sunny Khan Durrani
Mixing/Mastering : Sunny Khan Durrani

Lyrics:
Rooh ko apni ham tabaah kar
Beh rahe hain is leher me
Gaaon ko jalta chor ke apne
Bass chukay hain ham sheher me

Verse (Sunny Khan Durrani) :
Aadhi raat utha neend se me dar ke
Bistar me betha paseene me tarr me
Shetaan banne dost aur farishton se jung hai
Koimaar do banake kaafir, momin ye tang hai
Har lafz mera, banne ghalat fehmi yahan
Har saans rahe jism me sehmi yahan
Usse dar hai, kab ye chaalade goli
isk kya barosaa, hai roz deti dhoka wo
roz nahi aati hai,
Moat bhi hijr hai, wasl dikhaati hai.
Goliyon pe goliyan na chalti na hi jaan leti
Moat bhi ye ziddi kyun meri nahi maan leti
roz leti jaan wo kisi anjaan ki
par jo usse pukaare roz uska nahi naam leti
Shaayad yehi dunya hai
Rehna nahi chahta yahan pe wohi sarta hai
Zindagi se pyaar kare Pehle wohi marta hai
Dhalta hai sooraj bhattakta parinda
Ghar se bhattak ke wo dard me zinda hai
Cheekhta wo darta koi kuch nahi karta hai
Maddad bhi jo mile to wo pinjre me bharta hai
Qaid me rakhta hai unchi udaan ko
Dekh le tu apne is ashraf insaan ko
Kaat deta parr bhi Jo khwaab wo dekhe
Jaanwaar wo jaana ki jaan bhi jo lele
Phir kyun kare rehem uspe dunya ke log bhi
Kyun na wo tarpay aur maray isi sog me
Ban ke malang phire
Dil me jo jang chirrey
Khoon e jiggar roz dil ka wohi rang rahe
Tang rahe, laga ke seene se kaffas ko
Zeher pilaata phir apni nass nass ko
Khud hi dhoond le wo rasta zawaal ka
Khud ko parosay moat, pyaar ye kamaal ka
Log ye wohi sab uthaate janaazy jo
Shaamil halaakat me dete dilaasay
Kya karun me tum sab ki bakwaas ka
Jab samajh nahi paaya koi raaz aetizaz ka?
Marey hue log sab saarey basain mere khwaab
Sab mujhe tu, goli chalaade
Bas thori takleef phir tu azaad hai
azaadi ki chaahat bhi kya kya karwaade
Neend nahi aati mujhe saari saari raat
Bas kyunke jaaga hua me isi khwaab me
Koi to dawaa de ya zeher pilaa de
Koi neend me hi maar de ya is khwaab se jaaga de

Leave a Reply