You are currently viewing 9. Dost

9. Dost

Track : Dost
Album : Khabbarnaama
Music/Composition/Lyrics: Sunny Khan Durrani
Mixing/Mastering : Sunny Khan Durrani

Ek arsa guzra mulaqat nhi Hui
Pucha bhi nhi tune hun Mai kis haal mein
Dekh Tera dost aaj baitha hai zawaal pe
Sharmindagi se Mai likh nhi paya
Abr guzar gye mera poochne ni aaya
Aisa Kya narazgi thi is nacheez se
Mai aaj bhi ladh rha hun us Iblees se
Tere San paigham ab bhi rakhein Hain sambhal ke
Sochta hun kitna bhatak gya Chand saal mein
Par tu to Mera dost tha mujhe sambhal leta
Haath thaam kr mushkil se nikal leta
Roshni ko dekhta rha main andhere mein
Raat ka gya kyun na lauta sawere mein
Tareeqi se pata Chala ki tu naaraz tha
Bas wahi Meri tabahi ka aaghaz tha
Ek tu hi yahan pe Jo Jane mere ghaeb ko
Ek tu hi parda chhupaye mere aeb ko
Bolta kyun nhi kab aayega mulaqat ko
Tu roothha hai jabse hai dard Meri zaat ko
Aqs Mera pooche
Tera nafs kyun na roothe
Tera raqs kyun na goonje
Koi shaqs kyun na pooche
Tere farz nhi poore
Teri qarz nhi toote
Tujhe harj nhi koi
Tere naghmein hai jhoothe
Aur main chup hun
Koi na jawab dun
Teri narazgi ka kisko hisaab dun
Nange paer kaanch pe raqs karein khwahishein
Tooti haqeeqat ko kaise main khwab dun
Janta hai ladh baitha hun main zamane se
Koi Mera dost nhi baad Tere Jane ke
Guftgu waqf pe aur main khamosh hun
Khush kyun paas bhatke mein hi siyaposh hun
Maafi ke layak ye Mera zameer nhi
Tujhsa na uncha koi
Tujhsa ameer nhi
Kis na Mai yaad karun
Kisko dun arzi
Kasam Meri Jaan ki badal de ye marzi
Duniya ki maan lun to gila bhi ye shirk hai
Par tu hi Mera apna duniya se mujhe chidh hai
Mai inse kya bolun ye sab bewafa hai
Ek tu hi dost tu hi Mera khuda hai

Leave a Reply